Jeetne Ke Liye is a beautfiful song by K.K. I will present you the Jeetne Ke Liye lyrics of the film Azhar in this post.
Actors: Emraan Hashmi, Nargis Fakhri, Prachi Desai, Lara Dutta.
Singer: K.K
Actors: Emraan Hashmi, Nargis Fakhri, Prachi Desai, Lara Dutta.
Singer: K.K
Jeetne Ke Liye Lyrics
Aasmaan bhi haarta hai,
Zameen pe waqt guzaarta hai
Phir se unn oonchaiyon, ki chaah mein
Zindagi jo tootti hai,
Neend saari roothti hai
Honsla mill hi jaata hai raah mein
Phir udega dil, unn udaano mein
Phir ladega dil, do jahaano se
Jeetne ke liye, ho..
Jeetne ke liye, he he..
Jeetne ke liye
Kehte hai ye iraade sabhi,
Toota hoon main, bikhra nahi
Dhoop mein jo pighal jaaye,
Main woh barf ka tukda nahi
Na darega dil, unn toofaanon se
Phir ladega dil, do jahaano se
Jeetne ke liye, ho..
Jeetne ke liye, he he..
Jeetne ke liye
Din mein dekhi raate kayi,
Hone lagi subah nayi
Andheron ke daraaron se ab,
Dikhne lagi hai roshni
Na darega dil imtehaanon se
Phir ladega dil, do jahanon se
Jeetne ke liye, ho..
Jeetne ke liye, he he..
Jeetne ke liye
No comments:
Post a Comment